Search This Blog

Monday, November 6, 2023

Isi din wo aai thi hamse milne Na jane kis bhao ko leke aai thi hamse milne Ya bhao banane aai thi wo humse milne Wo Chand lambe bitane ya kai aur yese lambe banane ki tarash me aai thi wo hamse Milne Laga tha tab waqt ke pahiye ruk kiu nehi gaye jab aai thi wo hamse milne lekin agar waqt ruk jata to ye din hi sayad nehi aata jab hum yaad karte ki isi din aai thi wo hamse milne Aacha lagta hai ye dekh ke ki saalo baad Chahare me wahi muskaan aur baatoo me doogni khusi jab wo yaad diliye ki isi din aai thi wo hamse milne... Sayad kayanaat ne bhavnao ko hamse jayda samjha isiliye aur bhi yese lamhe ijhaaz aur taraasne ka mauka dia ...

No comments:

Post a Comment